Jummah ke Din ki 5 Badi Fazilatey | Deen Islam ki Baate
Jummah ki fazilatey to bahut jyada hoti hai ye din sab dino se afzal hai. Hamare Pyare Nabi Hazrat Muhammad Mustufa S.A.W. ne farmaya hai jummah ka din eid or bakarid se bhi jyada afzal hota hai. 1:- Q ke jummah ke din hi Allah ne Hazrat Adam (A.S) ko banaya tha. 2:- Jummah ke din hi Hazrat Adam (A.S) ko Allah ne zamin par bheja tha. 3:- Jummah ke din hi Allah ne Hazrat Adam (A.S) ko wafat bhi di. 4:- Jumaah ke din hi Allah ne eak aisa waqat mukarar kiya hai ki us waqat me insan jo dua mangega wo qubool hogi. Sahi waqat to kisi ko nahi pata par asar ke baad ke waqat qubooliyat ka waqat mana jata hai. 5:- Jummah ke din hi Allah ne qayamat ka waqat mukarar kar ke rakha hai.