Jumma ke Din Karne Wale Kuchh Sunat Amal | Deen Islam ki Baate
Jumma ka din sab dino se Afzal Mana jata hai to aaj hum Deen Islam ki baato me aaj Jumma ke bare me janege. Jumma ke din ki kuchh sunat baate jo Hamare Pyare Nabi ne bataya hai Allah Hum sabko hamare Nabi ki sunato pr chalne ki taufique aata kare Ameen. To Aaiye Deen Islam ki Baato me jane ki kya hai wo sunat baate Jo hame maloom hona zaruri hai. Jumma ka din bahut afzal hai is din ko sabse pahle har insan ko pak gusul karna bahut zaruri hai or wo kapda pehna chahiye jo uske sare kapdo me jyada pasandida or achha ho ye hamare Nabi ki Jumma ki pahli sunat me se eak hai jo wo kiya karte the. Jumma ke din khushboo (Itar) lagana bhi sunat hai jumma ko har insan ko khushboo lagana chahiye. Jo insan jumma ko pak gusal kar ke or khushboo ho to laga kar namaz se pahle masjid jayega to usko Allah ki raah me eak uat kurban karne ka swab milega or agr Aap masjid pahle dalikh ho jate hai to apko chahiye ke us time jab tak namaz ka time na ho jaye jitna nawafil namaz ho sake p...