Darud Shareef Padhne ke 7 Bade Fayde | Deen Islam ki Baate

Darud shareef padhne ke waise to bahut sare fayde hai lekin aaj hum apko darud shareef padhne ke 7 bade fayde btayenge.

1:- Darud Shareef padhne ka pahla fayda ye hai ki 1 bar darud shareef padhne par Allah hame 10 nekiya ata karta hai.

2:- Dusra fayda ye hai ki hum insan Jane anjane me bahut si chhoti badi galtiya kar baithte hai to Darud shareef padhne se Allah hamare un galtiyo ko maaf kar deta hai.

3:- Darud shareef ka teesra bada fayda ye hai jo banda darud shareef padhta hai to Allah use apni rahmato or barkato se nawazta hai uski sari muskil asan ho jati hai.
 Agar ap pareshan hai or apka dil ghumghin ho to aap kasrat se darud shareef pada kre Insha Allah apki pareshani dur ho jayegi.

4:- Darud shareef ka chautha fayda ye hai ki darud shareef padhne wale par Allah 10 darje buland karta hai.

5:- Darud shareef ka chhatha fayda ye hai jo banda Dua mangte waqat darud shareef padhta hai to Allah us bande ki Dua zarur qubool karta hai.
Agar aap apni Dua ki qubooliyat chahte hai to Dua ke pahle or baad me Darud shareef padha kare.

6:- Jo insan darud shareef kasrat ke sath padhta hai use kayamat ke din hamare pyare Nabi ki shifayat nasib hogi.
Agar kisi bande ko shifayat nasib ho gayi samjho Jannat mil gayi.

7:- satwa fayda ye hai ki Allah ka hukum hai ki har insan Pyare Nabi par salam bheje isse Allah khush hota hai or bando par rahmat bhejta hai.

Comments

Popular posts from this blog

Sar Ke Dard Ki Masnun Dua Jo Hamare Nabi Ne Irshad Farmaya Hai | Deen Islam ki Baate

Muharram ka Chand Dekh kar Kaunsi Dua Padha Jaye | Deen Islam ki Baate