Muharram ka Chand Dekh kar Kaunsi Dua Padha Jaye | Deen Islam ki Baate


Deen Islam ki Baato me aaj hum apke liye laye hai ki muharram ka chand dekh kar kaunsi dua padhe to dosto aaj mai ap sab ko Deen Islam ki Baato ke zariye se btaungi
Ye Dua padhne se apki har Jayez dua qubool hogi Insha Allah ye du Hamare Nabi Hazrat Muhammad Mustufa (s.a.w) padha karte the 
To aap sab bhi is dua ko eak baar zarur padhe Insha Allah aap sabki har jayez dua qubool hogi ye khas din saal me bas eak din aata hai or isse aise hi nahi jane de 
Jaisa ki aap sab jante honge muharram ka mahina Islam ka pahla mahina hai 
Muharram ka mahina bahut hi fazilato or barkato wala mahina hai to hum logo ko chahiye ki is mahine me jyada se jyada ibadat kare apko karna ye hai ki muharram ka chand dikhne ke baad yaa apko dikhe nhi kahi se khabar mile ke chand dikh gaya hai to sabse pahle wazu kar ke eak jagah baith jaye or ye dua padhe

Insha Allah ye dua ki barkat se apki har pareshani dur hogi apki har nek hajat puri hogi 
Is amal ko karne apke rozi me barkat hogi apke gharo me barkat hogi Allah aplogo ko aisi jagah se rizak aata karega jo apne socha bhi nhi hogaa 
Insha Allah dil ki yakin ke sath kare Qamyabi dena Allah ka kaam hai.

Comments

Popular posts from this blog

Sar Ke Dard Ki Masnun Dua Jo Hamare Nabi Ne Irshad Farmaya Hai | Deen Islam ki Baate