Jumma ke Din Karne Wale Kuchh Sunat Amal | Deen Islam ki Baate

 Jumma ka din sab dino se Afzal Mana jata hai to aaj hum Deen Islam ki baato me aaj Jumma ke bare me janege.
Jumma ke din ki kuchh sunat baate jo Hamare Pyare Nabi ne bataya hai Allah Hum sabko hamare Nabi ki sunato pr chalne ki taufique aata kare Ameen.

To Aaiye Deen Islam ki Baato me jane ki kya hai wo sunat baate Jo hame maloom hona zaruri hai.
Jumma ka din bahut afzal hai is din ko sabse pahle har insan ko pak gusul karna bahut zaruri hai or wo kapda pehna chahiye jo uske sare kapdo me jyada pasandida or achha ho ye hamare Nabi ki Jumma ki pahli sunat me se eak hai jo wo kiya karte the.
Jumma ke din khushboo (Itar) lagana bhi sunat hai jumma ko har insan ko khushboo lagana chahiye.
Jo insan jumma ko pak gusal kar ke or khushboo ho to laga kar namaz se pahle masjid jayega to usko Allah ki raah me eak uat kurban karne ka swab milega or agr Aap masjid pahle dalikh ho jate hai to apko chahiye ke us time jab tak namaz ka time na ho jaye jitna nawafil namaz ho sake padhe or phir chup chap imam ka qutba sune or nmaz padhe to uske is jumma se agle jumma tak ke gunah maaf kar diye jate hai 
Hamare Nabi ne ye bhi Farmaya hai ki Jumma ke din apne kaam ko band kar dena chahiye taki jumma naa chhute.
Or Jumma ke din surah kahaf padhna chahiye jo insan jumma ke din surah kahaf padhta hai uspe is jumme se alge jumme tak Allah ka noor rahta hai.
Sabse aham or zaruri hai ki hame hamare Nabi par kasrat se darud bhejna chahiye q k eak hadees ke mutabik Hazrat Muhammad Mustufa (s.a.w) ne farmaya hai jo insan jumma ke din mujhpe kasrat se darur sharif padhega mai Qayamat ke din us insan ke haq me gawahi dunga or Allah se uski sefarish karunga 
Hamare Nabi ne ye bhi farmaya hai jumma ke din eak aisa waqat aata hai jis me dua qubool hoti hai or wo waqat asar se magrib ke bich ka hota hai ye hai hamare Nabi ki kuchh sunate Jo apne Aaj Deen Islam me Jana hai Allah sabko sunato me Amal karne ki taufique de Ameen 


Comments

Popular posts from this blog

Sar Ke Dard Ki Masnun Dua Jo Hamare Nabi Ne Irshad Farmaya Hai | Deen Islam ki Baate

Muharram ka Chand Dekh kar Kaunsi Dua Padha Jaye | Deen Islam ki Baate