Posts

Azan Ke baad Ye Dua Padhe Insha Allah Har pareshani Se Mahfuz Rahenge Aap | Deen Islam ki Baate

Image
Duniya me har musalman ki khawaish hoti hai ke usse Nabi ki Shifayat nasib ho har Insan chahta hai ki Uska Iman par khatma ho wo wo duniya or akherat me apne Iman par kayam ho. 1 din me 5 waqt aazan hoti hai har insan ko chahiye aazan ki beadabi na kre usse sune or sunne ke baad Dua padhe. Aazan ke baad Dua padhne ke bahut sawab hai ye har musalman par lazim hai. Jab Azan ho to har musalman ko chahiye ki apna Kaam chhor aadabi se Azan sune uske baad Darud Sharif padhe phir ye dua padhe. Insha Allah jo insan isse apni aadat bna lega wo insan duniya or aakherat me apna Iman banaye ga. To hame or aap sab musalmano ko chahiye ki apne Iman ko mazbut kare take hame marne ke baad Hamare Pyar Nabi ki shifayat nasib ho.                                           (Ameen)

Hamare Nabi Hazrat Muhammad Mustufa S.A.W. ki Walidah ka kya naam tha | Deen Islam ki Baate

Hamare Nabi   Hazrat Muhammad Mustufa  S.A.W.  ki walidah ka naam Bibi Amina tha.

Hamare Nabi Hazrat Muhammad Mustufa S.A.W. ke Dada ka kya naam tha | Deen Islam ki Baate

Hamare Nabi Hazrat Muhammad Mustufa S.A.W. ke Dada ka naam Abdul Mutalib tha.

Darud Shareef Padhne ke 7 Bade Fayde | Deen Islam ki Baate

Darud shareef padhne ke waise to bahut sare fayde hai lekin aaj hum apko darud shareef padhne ke 7 bade fayde btayenge. 1:- Darud Shareef padhne ka pahla fayda ye hai ki 1 bar darud shareef padhne par Allah hame 10 nekiya ata karta hai. 2:- Dusra fayda ye hai ki hum insan Jane anjane me bahut si chhoti badi galtiya kar baithte hai to Darud shareef padhne se  Allah hamare un galtiyo ko maaf kar deta hai. 3:- Darud shareef ka teesra bada fayda ye hai jo banda darud shareef padhta hai to  Allah use apni rahmato or barkato se nawazta hai uski sari muskil asan ho jati hai.  Agar ap pareshan hai or apka dil ghumghin ho to aap kasrat se darud shareef pada kre Insha Allah apki pareshani dur ho jayegi. 4:-  Darud shareef ka chautha fayda ye hai ki darud shareef padhne wale par Allah 10 darje buland karta hai. 5:- Darud shareef ka chhatha fayda ye hai jo banda Dua mangte waqat darud shareef padhta hai to Allah us bande ki Dua zarur qubool karta hai. Agar aap apni Dua ki quboo...

Jummah ke Din ki 5 Badi Fazilatey | Deen Islam ki Baate

Jummah ki fazilatey to bahut jyada hoti hai ye din sab dino se afzal hai. Hamare Pyare Nabi Hazrat Muhammad Mustufa S.A.W. ne farmaya hai jummah ka din eid or bakarid se bhi jyada afzal hota hai. 1:-  Q ke jummah ke din hi Allah ne Hazrat Adam (A.S)  ko banaya tha. 2:- Jummah ke din hi Hazrat Adam (A.S) ko Allah ne zamin par bheja tha. 3:- Jummah ke din hi Allah ne Hazrat Adam (A.S) ko wafat bhi di. 4:- Jumaah ke din hi Allah ne eak aisa waqat mukarar kiya hai ki us waqat me insan jo dua mangega wo qubool hogi. Sahi waqat to kisi ko nahi pata par asar ke baad ke waqat qubooliyat ka waqat mana jata hai. 5:- Jummah ke din hi Allah ne qayamat ka waqat mukarar kar ke rakha hai.

Islam ki Bunyad kin kin chizo se hai | Deen Islam ki Baate

Islam ki bunyad 5 chizo se hai. 1):- Ye gawahi dena ki Allah  eak hai or Hazrat Muhammad Mustufa S.A.W.   Allah ke rasool hai. 2):- Namaz padhna. 3):- Roza rakhna. 4):- Khairat Dena. 5):- Hajj par Jana.

Hamare Nabi Hazrat Muhammad Mustufa S.A.W. ke Walid Shahab ka Kya Naam that ? | Deen Islam ki Baate

Hamare Nabi Hazrat Muhammad Mustufa S.A.W . ke walid ka naam Hazrat Abdullah that.