Posts

Quran Pak ki 21 Nasihate jo Har Musalman ki Zindagi Badal Degi | Deen Islam ki Baate

Image
Aaj hum Deen Islam Ki Baato me Quran pak ki 21 aisi hidayate jane ge jo har insan ko janni zaruri hai jo hamari zingadi badal degi Allah ne apne makhluk ke liye aisi bahut sari hidayate di hai jis par amal kar ke hum sab sukun ki or neki ke raste par chal kar apni zindagi guzare. To aaiye bina wakat jaya kiye un baato ko jaane jo hamare liye sahi hai jo hame neki ki taraf le jayegi. 1. Bina wajah kisi masum ke qatal ko Allah ne haram kiya hai. 2.  Jo aakherat ke din par iman nhi rakhna Allah usko koi rasta nhi dikhana or wo shaqas hamesha pareshaniyo me rahta hai. 3. Allah nashukar or na manzur logo ko neki ka rasta nhi dikhata. 4.  Ramzan ko neki or Rahmato ka mahina kaha gaya hai or is baat pr har insan ko Amal karna chahiye.  5.  Quran padhne wale duniya me izzat or takkat ke sath jite hai. 6. Allah se   Murad mangna hidayat ka noor hai zahiliyat ke andhere me roushni ka noor hai. 7. Quran padhna har insan ke liye zaruri hai ye murda dilo ko roushan kar deti hai. 8.   Ra

10 Aisi Baate Jo Har Musalman ko Janni Zaruri Hai | Deen Islam ki Baate

Image
Aaj hum sab Deen islam ki baato me ye jaane ki kya wo 10 baate hai jo har musalman ko jaanna zaruri hai.  Ye 10 baate wo hai jo hum daily karte hai par hame ye pata nahi hota ki hamari baate sahi hai ya galat or aise hum sab chhoti badi bahut si galtiyaa kar jate hai jo galtiyaa karne ki ijazat hame islam nhi deta to aaiye ab hum Deen Islam ki Baato me wo 10 baato ko sikhe. 1. Maa Baap ki khushi se Allah ki Khushi hai or agr Maa Baap naraz hai to Allah bhi naraz hota hai isliye hame apne Maa Baap ki khushi ka khayal rakhna chahiye. 2. Hazrat Abu omama RaziAllaho Anho se riwayat hai ki Hamare Nabi ne farmaya hai Maa Baap teri zannat bhi hai or dozakh bhi isliye kabhi apne Maa Baap ka dil na dukhao. 3. Haram ya sudh khane wale ki Dua Allah qubool nhi karta hai or uski rozi me barkat nahi hoti. 4. Jisne apni Namaz ki fikar chhori Allah ne uski fikar chhori isliye har musalman ko namaz pabandi se padhna chahiye. 5. Har Farz namaz ke baad Aaytal kursi padhne wale shaqas ki zanna

Jumma ke Din Karne Wale Kuchh Sunat Amal | Deen Islam ki Baate

Image
 Jumma ka din sab dino se Afzal Mana jata hai to aaj hum Deen Islam ki baato me aaj Jumma ke bare me janege. Jumma ke din ki kuchh sunat baate jo Hamare Pyare Nabi ne bataya hai Allah Hum sabko hamare Nabi ki sunato pr chalne ki taufique aata kare Ameen. To Aaiye Deen Islam ki Baato me jane ki kya hai wo sunat baate Jo hame maloom hona zaruri hai. Jumma ka din bahut afzal hai is din ko sabse pahle har insan ko pak gusul karna bahut zaruri hai or wo kapda pehna chahiye jo uske sare kapdo me jyada pasandida or achha ho ye hamare Nabi ki Jumma ki pahli sunat me se eak hai jo wo kiya karte the. Jumma ke din khushboo (Itar) lagana bhi sunat hai jumma ko har insan ko khushboo lagana chahiye. Jo insan jumma ko pak gusal kar ke or khushboo ho to laga kar namaz se pahle masjid jayega to usko Allah ki raah me eak uat kurban karne ka swab milega or agr Aap masjid pahle dalikh ho jate hai to apko chahiye ke us time jab tak namaz ka time na ho jaye jitna nawafil namaz ho sake padhe

10 Muharram ke Roze ki Fazilatey | Deen Islam ki Baate

Aaiye aaj hum Deen Islam ki baato me jante hai 10 muharram ke roze rakhne ki Fazilato ke bare me 10 muharram ko hum Ashurah bhi kahte hai 10 muharram ka roze ki fazilatey bahut badi hai  Hamare Pyare Nabi Hazrat Muhammad Mustufa (s.a.w) ne irshad farmaya hai ki Ramzan ke roze ke baad sabse afzal muharram ka roza mana jata hai 10 Muharram ka roza hamare pyare Nabi rakha karte the iska bahut sawab hai ye hamare Nabi ki sunat bhi hai  10 muharram ki fazilato me se eak or fazilat ye v hai ki ye Roza rakhne se 1 saal ke gunah maaf ho jate hai ye Roza pichhle 1 saal ke sadirah gunah ka kaffara hota hai kabira gunah nhi maaf hote hai srf sadirah gunah maaf hote hai  Hamare Nabi ne farmaya hai 9 se 10 kaa v roza rakh sakte hai ya 10 se 11 ka bhi rakh sakte hai or agar aap chahe to 9,10,11 teeno roze rakh sakte hai  10 roze ki fazilat ye bhi hai ki is din jo log apne ghar walo ke roze par achhaa khilaye gaa unki kushadki karega to Allah  usse barkat dega pure saal uski rizq me Allah  barkat deg

Muharram ka Chand Dekh kar Kaunsi Dua Padha Jaye | Deen Islam ki Baate

Image
Deen Islam ki Baato me aaj hum apke liye laye hai ki muharram ka chand dekh kar kaunsi dua padhe to dosto aaj mai ap sab ko Deen Islam ki Baato ke zariye se btaungi Ye Dua padhne se apki har Jayez dua qubool hogi Insha Allah ye du Hamare Nabi Hazrat Muhammad Mustufa (s.a.w) padha karte the  To aap sab bhi is dua ko eak baar zarur padhe Insha Allah aap sabki har jayez dua qubool hogi ye khas din saal me bas eak din aata hai or isse aise hi nahi jane de  Jaisa ki aap sab jante honge muharram ka mahina Islam ka pahla mahina hai  Muharram ka mahina bahut hi fazilato or barkato wala mahina hai to hum logo ko chahiye ki is mahine me jyada se jyada ibadat kare apko karna ye hai ki muharram ka chand dikhne ke baad yaa apko dikhe nhi kahi se khabar mile ke chand dikh gaya hai to sabse pahle wazu kar ke eak jagah baith jaye or ye dua padhe Insha Allah ye dua ki barkat se apki har pareshani dur hogi apki har nek hajat puri hogi  Is amal ko karne apke rozi me barkat hogi ap

Sar Ke Dard Ki Masnun Dua Jo Hamare Nabi Ne Irshad Farmaya Hai | Deen Islam ki Baate

Image
Aaj kal hamare muaashre me har chhote bade budhe ko dard hoti rahti hai kisi ke sar me to kisi ke hath pair me aap sabhi ke is takleef ko dekhte huye aaj ham Deen Islam ki Baate ke zariye apko eak dua btane jaa rahe hai ye Dua hamare Nabi ne apne eak sahabi ko batayi thi  Insha Allah  is Dua ke zariye apki har tarah ki dard se apko shifa melega To aaiye aaj ham Deen Islam ki Baate  me wo Dua jane jo hamare har tarah ke dard ko dur karegi or hame shifa degi dua batane se pahle eak baat jan le yakin or amadah bahut zaruri hai ye hamare undar hona chahiye  Hamare Nabi Hazrat Muhammad Mustafa (s.a.w) ne farmaya hai Apko jaha v dard hai waha hath rakh kar 3 baar Bismillah padhe phir 7 bar ye dua padhe  Insha Allah is dua ko par kar aap apne har dard kaa ilaj kar sakte hai.                                                     Ameen

Sadqa Kaise Dena Chahiye | Deen Islam ki Baate

Image
Sabqa is duniya ki sabse behtarin amal hai Sadqa de kar har musibato ko tala jaa sakta hai  Eak hadees sharif me Allah ne farmaya hai ki zameen par badi se badi takatwar chize maujud hai par sabse jyada takatwar chiz Sadqa hai isse har musibato ko roka jaa sakta hai Sadqa dene se jahanam ki aag thandi hoti hai, har aafat balaye dur hoti hai, or Allah ka aazab dur hota hai is pure qaynat ki sabse behtarin amal  Sadqa hai  To insan ko chahiye ke Sadqa  karte rahe ab aaiye ham apko btate hai Sadqa kaise karna chahiye Har insan apne apne tarike se Sadqa  deta hai jaise sar se war ke, hath se war ke, lita kar war ke, baitha kar war ke par ye sare tarike galat hai   Sadqa dene ka sahi tarika bas ye hai ki aap niyat kare or Sadqa  de de Allah sabke dilo ko janta hai sabki niyate janta hai isliye bas niyat kare or Sadqa de de jo bhi aap dena chahte hai rupya paisa ya khane ki chize ya kuchh bhi de sakte hai apne aukat ki mutabik q ke  Allah quantity nhi quality dekhta Apka dil d