Posts

Showing posts from July, 2020

Hamare Nabi Hazrat Muhammad Mustufa S.A.W. ki Walidah ka kya naam tha | Deen Islam ki Baate

Hamare Nabi   Hazrat Muhammad Mustufa  S.A.W.  ki walidah ka naam Bibi Amina tha.

Hamare Nabi Hazrat Muhammad Mustufa S.A.W. ke Dada ka kya naam tha | Deen Islam ki Baate

Hamare Nabi Hazrat Muhammad Mustufa S.A.W. ke Dada ka naam Abdul Mutalib tha.

Darud Shareef Padhne ke 7 Bade Fayde | Deen Islam ki Baate

Darud shareef padhne ke waise to bahut sare fayde hai lekin aaj hum apko darud shareef padhne ke 7 bade fayde btayenge. 1:- Darud Shareef padhne ka pahla fayda ye hai ki 1 bar darud shareef padhne par Allah hame 10 nekiya ata karta hai. 2:- Dusra fayda ye hai ki hum insan Jane anjane me bahut si chhoti badi galtiya kar baithte hai to Darud shareef padhne se  Allah hamare un galtiyo ko maaf kar deta hai. 3:- Darud shareef ka teesra bada fayda ye hai jo banda darud shareef padhta hai to  Allah use apni rahmato or barkato se nawazta hai uski sari muskil asan ho jati hai.  Agar ap pareshan hai or apka dil ghumghin ho to aap kasrat se darud shareef pada kre Insha Allah apki pareshani dur ho jayegi. 4:-  Darud shareef ka chautha fayda ye hai ki darud shareef padhne wale par Allah 10 darje buland karta hai. 5:- Darud shareef ka chhatha fayda ye hai jo banda Dua mangte waqat darud shareef padhta hai to Allah us bande ki Dua zarur qubool karta hai. Agar aap apni Dua ki quboo...

Jummah ke Din ki 5 Badi Fazilatey | Deen Islam ki Baate

Jummah ki fazilatey to bahut jyada hoti hai ye din sab dino se afzal hai. Hamare Pyare Nabi Hazrat Muhammad Mustufa S.A.W. ne farmaya hai jummah ka din eid or bakarid se bhi jyada afzal hota hai. 1:-  Q ke jummah ke din hi Allah ne Hazrat Adam (A.S)  ko banaya tha. 2:- Jummah ke din hi Hazrat Adam (A.S) ko Allah ne zamin par bheja tha. 3:- Jummah ke din hi Allah ne Hazrat Adam (A.S) ko wafat bhi di. 4:- Jumaah ke din hi Allah ne eak aisa waqat mukarar kiya hai ki us waqat me insan jo dua mangega wo qubool hogi. Sahi waqat to kisi ko nahi pata par asar ke baad ke waqat qubooliyat ka waqat mana jata hai. 5:- Jummah ke din hi Allah ne qayamat ka waqat mukarar kar ke rakha hai.

Islam ki Bunyad kin kin chizo se hai | Deen Islam ki Baate

Islam ki bunyad 5 chizo se hai. 1):- Ye gawahi dena ki Allah  eak hai or Hazrat Muhammad Mustufa S.A.W.   Allah ke rasool hai. 2):- Namaz padhna. 3):- Roza rakhna. 4):- Khairat Dena. 5):- Hajj par Jana.

Hamare Nabi Hazrat Muhammad Mustufa S.A.W. ke Walid Shahab ka Kya Naam that ? | Deen Islam ki Baate

Hamare Nabi Hazrat Muhammad Mustufa S.A.W . ke walid ka naam Hazrat Abdullah that.

Hamare Pyare Nabi Hazrat Muhammad Mustufa S.A.W. ka naam Ahmad or Muhammad kisne rakha tha ? | Deen Islam ki Baate

Hamare Pyare Nabi Hazrat Muhammad Mustufa S.A.W. ka naam Muhammad unke Dada  Abdul Mutalib ne rakha tha. Or unka Ahmad naam unki walida Bibi Amina ne rakha tha. Muhammad ka mana hota hai jiski khub tarif ki jaye. Ahmad ka mana hota hai Allah ki tarif karne wala.

Sabse pahale Azan kaha or kab shuru huyi...?| Deen Islam ki Baate

Hamare pyare Nabi hazarat Muhammad S.A.W ke ek karibi Sahabi Hazarat Bilal Habshi ne sabse pahale Azan di thi. Or, Sabse pahale Azan Makka me huyi thi. 

Ye 3 Behad Asan Surah Jo Apko Puri Zindagi Mahfuz Rakhegi | Deen Islam Ki Baate

Ye 3 Behad Asan Surah Jo Apko Puri Zindagi Mahfuz Rakhegi.. Agar aap chahte hai aap har Ranj_o_Ghum se mahfuz rhe to ye 3 surate rozana 3 3 bar subah o sham padha kre.. Hamare Pyare Nabi Hazrat Muhammad Mustafa S.A.W ne Irshad farmaya hai jis ne is surato ko padha uski zindagi me khushiya hi khushiya hogi wo har musibat se mahfuz rahega sari zindagi.  Chahe wo musibat jis shakal me ho:- Jaise:- Aapko tez bukhar ho               Ya preshan ho              Ya Andhi tufan ho               Ya kisi ne jadu kiya ho              Ya apko ya apke bacho ko               Nazar lgi ho Ye 3 surate Allah ne nazil ki hai jo Insha Allah har musibato se apko mahfuz rakhe gi. Daily subah o sham 3 3 bar padha kre.. Wo 3 surate ye hai:- 1):- Surah Akhlaque 2):- Surah Falak  3):- Surah Naas  Apne rozmarrah...

Astagfar ke 3 Bade faide | Deen Islam Ki Baate

Jo Insan sache dil se tauba kre or Duniya ke sare gunaho se bachne ka irada kar le isi ko Astagfar kahte hai... 1):- Jo insan apne upar Astagfar ko lazim yani Astagfar karta rahta hai to Allah apne bande ke sare gunaho ko maaf kr use aisi jagah se rozi aata krta hai jaha se kabhi milne ki umeed nhi hoti. 2)- :Allah insan ko duniya ki har musibato se us wkt tak mahfuz rakhta hai jab tak wo insan Astagfar krta hai. Astagfar karne se Allah khush hota hai or apni rahmato ke darwaze khol deta hai. Or Astagfar na krne se Allah naraz hota hai or us insan ke upar se rahmato ke darwaze band kr us par lanat bhejta hai. 3):- Hamare Pyare Nabi Hazrat Muhammad Mustafa S.A.W ne farmaya hai. Astagfar karne walo kabhi kisi ghamo muskil me nhi rahte  Allah unka har muskil kaam aasan karta hai or unhe duniya o aakhrat me sukun ata krta hai.

Bismillah Ki Barkat | Deen Islam Ki Baate

Bismillah Ki Barkat... Eak Hadees sharif me hamare pyare Nabi Hazrat Muhammad Mustafa S.A.W ne Irshad farmaya hai.... Bismillah karna har musalman par sunat hai.Har kaam shuru krne se pahle Bismillah krna zaruri hai.. Apne rozmarrah ke kaamo ki ibteda Bismillah ke shuru kre.. Bismillah ki barkat se sare qaynat ka neezam chal raha hai.. Har musalman ko chahiye ke apne kaam ki shuruwat Bismillah se kre. Insha Allah uska har kaam pura hoga har muskil se nijat payega.. Beshaq Allah Rahman_O_Rahim hai... Apne bando par raham krne wala hai...                                                                   Ameen,