Jummah ki fazilatey to bahut jyada hoti hai ye din sab dino se afzal hai. Hamare Pyare Nabi Hazrat Muhammad Mustufa S.A.W. ne farmaya hai jummah ka din eid or bakarid se bhi jyada afzal hota hai. 1:- Q ke jummah ke din hi Allah ne Hazrat Adam (A.S) ko banaya tha. 2:- Jummah ke din hi Hazrat Adam (A.S) ko Allah ne zamin par bheja tha. 3:- Jummah ke din hi Allah ne Hazrat Adam (A.S) ko wafat bhi di. 4:- Jumaah ke din hi Allah ne eak aisa waqat mukarar kiya hai ki us waqat me insan jo dua mangega wo qubool hogi. Sahi waqat to kisi ko nahi pata par asar ke baad ke waqat qubooliyat ka waqat mana jata hai. 5:- Jummah ke din hi Allah ne qayamat ka waqat mukarar kar ke rakha hai.
Bismillah Ki Barkat... Eak Hadees sharif me hamare pyare Nabi Hazrat Muhammad Mustafa S.A.W ne Irshad farmaya hai.... Bismillah karna har musalman par sunat hai.Har kaam shuru krne se pahle Bismillah krna zaruri hai.. Apne rozmarrah ke kaamo ki ibteda Bismillah ke shuru kre.. Bismillah ki barkat se sare qaynat ka neezam chal raha hai.. Har musalman ko chahiye ke apne kaam ki shuruwat Bismillah se kre. Insha Allah uska har kaam pura hoga har muskil se nijat payega.. Beshaq Allah Rahman_O_Rahim hai... Apne bando par raham krne wala hai... Ameen,
Masha Allah
ReplyDelete